Dil to karta hai
Aasman mein kaali ghata chhai hai,
Aaj fir se gharwali se maar khai hai,
Dil to karta hai…sudhar jaoon magar,
Kamvali aaj fir bheeg ke aai hai…..
Aasman mein kaali ghata chhai hai,
Aaj fir se gharwali se maar khai hai,
Dil to karta hai…sudhar jaoon magar,
Kamvali aaj fir bheeg ke aai hai…..
Hum aap ko dekhna chahte hain, Aap se milna chahte hain, Par ye log bahut zalim hain, Mujhe aap se milne nahi dete, Kehte hain “zoo bandh hai, kal ana”.
Tere khoobsurat aankhon mein aansoo achche nahin lagte, Chaahe jitnaa bhi roye lekin kabhi sachche nahin lagte.
Ek geet likha hai, Maine aap ki surat dekh kar, Us geet ko sangeet diya hai, Maine aapki muskurahat dekh kar, Par usse gaana bhool gaya, Main apki awaaz sun kar
Tere chehre pe udasi aankhon mein nami hai, Tere chehre pe udasi aankhon mein nami hai, TATA namak istemal karo kyun ki IODINE ki kami hai..!!
Jab jab ghire badal teri yaad aayi, Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad aayi, Jab-jab mein bhiga teri yaad aayi, Ab raha nahin jata, Chhatri lauta de Bhai.
Kadam kadam pe hawa ki aahat ka dhyan rakhna, Mushkil samay mein bhi iss dost ko yaad rakhna. Hamari yaadon ki khushboo zaroor aayegi, Tum bus apni naak saaf rakhna.